Madad aur ihsaan karne wale ka shukriya ada karne ke baare mein hadith

 

Jabir (radiallahu anhu) se riwayat hai ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: “Jis shakhs ko koi cheez mile aur woh uska tazkira kare toe usne uska shukar ada kardiya aur jisne use chupaya usne nashukri ki.” (Sunan Abi Dawood, Kitaab: Aadaab wa akhlaq ka bayan, Baab: neki wa ihsaan ka shukriya ada karne ka bayan, hadith number 4814)

  • Raawi: Jabir ibn Abdullah
  • Muhaddith: Al-Albani
  • Madar: Sahih ul Jamii (5933) aur As-Silsilat us Saheeha (618)
  • Muhaddith ke hukum ka khulasa: Sahih, iski isnaad Imam Muslim ke shuruth ke mutabiq sahih hai.
  • Takhreej: Ise Abu Dawud (4814) ne riwayat kiya hai aur yeh lafz inke hai. Aur Al-Tirmidhi (2034) ne isi maane ke saath, taweel siyaq ke saath bayan kiya.

 

عَنْ ‌جَابِرٍ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: “مَنْ أُبْلِيَ بَلَاءً فَذَكَرَهُ فَقَدْ شَكَرَهُ وَإِنْ كَتَمَهُ فَقَدْ كَفَرَهُ”. (سنن أبي داود, كتاب الأدب, باب فِي شُكْرِ الْمَعْرُوفِ)

 

Is hadith ke fawaid:

1) Ihsaan ke kamon ko tasleem karne ki Islam mein hosla afzai ki gayi hai.

2) Jis ne koi acha kaam kya hai us ka shukriya ada karna aur us ki tareef karna Allah taala ka shukar ada karne ka ek tareeqa hai aur Islam ne aise behtreen akhlaq ki takeed ki hai.

3) Naimaton ke aadaab mein se madad karne wale ka zikar karna, us ka shukriya ada karna aur us ki tareef karna hai.

4) Munasib maqam aur munasib andaaz se munam aur mohsin ke ihsaan ka zikar-e-khair karna haq hai aur qadardaani mein shumaar hai. Is se pyaar badhta hai, jabke is ke bar-aks takleef hoti hai.