Sawaal: Bahut se khaaney ke masnuaat mein Lanolin ka istemaal kiya jaata hai. Kya Lanolin halaal hai aur kya isey khaaney ke cheezon mein istemaal karna halaal hai?
Jawab: Lanolin ek charbidar peela maaddah hai jo bhedon ki uun se nikala jata hai. Ise uun moum ya uun ki chiknai ke naam se bhi jaana jata hai. To kya Islam me lanolin halal hai? Lanolin se bane khane ko istemal karne mein koi harj nahi, agar usey bhed ki uun se nikala jaae.
Agar bakri ko shariat ke tareeqe se zubah kiya gaya ho to muamla saaf hai, kyunke ye wo janwar hai jo paak hai aur uska gosht khaya jaa sakta hai, aur usey shariat ke tareeqe se zubah kiya gaya hai. Toh ismein koi shak nahi ke uskey baal (uun) aur dusrey hissey paak hain.
Lekin agar zinda haalat mein us se uun liya gaya ho, ya usey sahi tareeqey se zubah na kiya gaya ho, to ahle ilm ka zyada sahi qaul (kehna) ye hai ke tamam janwaron ke baal paak hain, chahey wo janwar shariat ke tareeqey se zubah na kiya gaya ho.
Shaykh al-Islam Ibn Taymiyyah (Allah un par reham farmae) farmatey hain: tamam baal, pankh aur uun paak hain. Chahey wo khaae jaane wale janwar ke hon ya na khaae jane wale janwar ka chamda, aur chahe wo zinda ya murda janwar se liya gaya ho. Ulama ke aqwaal mein se ye sab se zyada sahih honey ka imkan hai [Majmoo‘ al-Fataawa (21/38)]
Halanki ek qaul ye hai ke uun aur baal aam taur par napaak hain, lekin wo kisi aise janwar se na liye gaye hon jise shariat ke tareeqe se zubah kiya gaya ho, to ye (lanolin) wo maaddah hai jo uun se nikala jaata hai, isliye ab wo napaak balon jaisa nahi raha jis se ye liya gaya tha. Balke ye ek alag maaddah mein tabdeel hogaya hai, aur istihaalah (tabdeeli) ke is amal se paak aur halal hogaya hai.
Wallahualam(aur Allah hi behtar janta hai)