Ek Islami markaz ghalat aqeeda ki taaleemaat detey hain. Kya logon ko inse aagaah karna chahiye?

Sawaal: Australia mein ek islami markaz hai jiske talaba ne gawahi di hai ke is markaz me ghalat taalimaat (sufi aur baatil) diye jaate hain. Unke aqeede me bhi sangeen masaail hain kyunki wo Allah ke baare mein aisi baatein kehte hain jo Allah ne apne baare mein Qur’an aur sahih hadith me kabhi nahi kahi hain. Is islami markaz se baa adab raabta kiya gaya aur wazaahat ke liye inse chand sawaalaat puche gaye. Algharz ,wo apne aqeede ke baare mein kuch bhi jawaab dene se yeh kehte hue inkaar kar rahe hain ke is ki wazaahat karna bohot zyaada hai ( haalanki sirf che sawalat the). Kya biraadri walon ko inlogon ke khilaaf aagaah karna chahiye kyunki wo apne aqeede ko wazeh nahi kar rahe hain? Ya humein intezaar karna chahiye jab tak ke wo humaare sawaalaat ka jawaab na dein, jo ke naa mumkin lagta hai?

Jawab: Alhamdulillah

Is mein koi shak nahi ke aqeede ke muaamlaat ek musalmaan ke liye sab se aham hain aur gumraahi mein padne se bachna chahiye. Na sirf apni hifazat karni chahiye balke dusron ko bhi gumraahi se khabardaar karna chahiye taake inki hifaazat hosake.

Algharz , logon ke baare mein baat karna ek sanjeedah muaamla hai, aur unki taareef karna yaa un par tanqeed karna aisi cheez hai jisey halke me nahi liya jaana chahiye. Bahut se ulama in umoor par baat karne se gurez karenge kyunki gheebat gunaah-e-kabeerah hai aur agar gheebat islami talaba ya ulama ya karkunon ke baare mein ho jinse Allah taala mohabbat karta hai to gunaah aur badh jaata hai.

Sayyiduna Abu hurairah (Allah inse raazi ho) se riwaayat hai ke Rasulallah (ﷺ) ne farmaya:”har musalman ka dusre musalman par uska khoon aur maal aur uski izzat haraam hai. Ise Imaam muslim in apne sahih (2564) mien riwaayat kiya hai.

Isliye ye zaruri hai ke is muaamle ko ulama ke zariye hal kiya jaae jo shawaahid ki jaanch kare, talaba se baat kare aur is faisle par pahunche ke is markaz ki mazammat ki jaye ya nahi. Agar har shakhs dusron ke khilaaf faisla karne aur tanbeeh karne lage to afra tafreeh phail jaaegi.

Yeh muaamla ahl-e-ilm par chodh dein jo apni hikmat se isko hal karenge. Har shahar mein daanishmand aur qaabil ulama maujood hain. Un tak pahunchen aur unki madad lein.

Agar ahl-e-ilm yaani ulama ki taraf se inke khilaaf ye saabit hojaye ke wo ghalat aqeedah phela rahe hain to unke khilaaf logon ko khabardaar karna waajib hojayega.

Mazeed yeh ke logon ko aagaah karna aasaan hojaata hai agar humare paas ahl-e-ilm yaani ulama ke fatwe maujood hon. Aise muaamlaat ke liye ye sab se mahfooz aur bahatreen tareeqa hai.

Wallahu aalam ( aur Allah bahtar jaanta hai)