Sawalaat aur Jawabaat

Tum mein se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta, jab tak … Hadith

  Anas bin Malik (رضي الله عنه) se riwayat hai ke Rasulullah (ﷺ) ne farmaya: “Tum mein se koi shakhs us waqt tak momin nahi ho sakta, jab tak wo apne bhai ke liye bhi wahi pasand na kare jo apne liye karta hai.” الحديث : عَنْ أَنَسٍ رضي الله عنه، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ : ” …

Read More »

kya Islam mein hotel, restaurant aur bazaar mein khaana jayez hai?

Sawaal: Kya Islam mein hotels, restaurants aur bazaaron mein khaana jaaez hai? Mai ne ek hadith padhi jis mein kaha gaya hai ke “bazaar me khaana halkey pan ki nishaani hai “. Kya yeh sach hai? Kya iska matlab yeh hai ke bazaaroon, hotels aur restaurants mein khaana haraam hai? Jawaab: Alhamdulillah. Hotel, restaurant aur bazaar mein khaana khaane ki …

Read More »

Kya Azaab-e-Qabr haqeeqat hai? Kya Qabr mein saza di jayegi?

Jawaab: Alhumdulillah. Haan, Azaab-e-Qabr haqeeqat hai jo Quran-o-Hadeeth se sabit hai. Ahl us-Sunnah wal-Jamaat ka aqeedah hai ki Qabr aur Barzakh wali zindagi (yaani maut aur akhirat ke beech ka marhala) mein saza aur azaab hoga. Is mein barkat aur khushiyaan bhi hungi bande ke amaal ke hisaab se. Daleel: 1) Quran se: Aayah: “Aur ab toe Qabr mein dozakh …

Read More »