Kya Azaab-e-Qabr haqeeqat hai? Kya Qabr mein saza di jayegi?

Jawaab: Alhumdulillah.

Haan, Azaab-e-Qabr haqeeqat hai jo Quran-o-Hadeeth se sabit hai. Ahl us-Sunnah wal-Jamaat ka aqeedah hai ki Qabr aur Barzakh wali zindagi (yaani maut aur akhirat ke beech ka marhala) mein saza aur azaab hoga. Is mein barkat aur khushiyaan bhi hungi bande ke amaal ke hisaab se.

Daleel:

1) Quran se:

Aayah: “Aur ab toe Qabr mein dozakh ki aag hai ke woh log (har) subah aur shaam uske samne laa khade kiye jaatey hain, aur jis din qayamat bharpa hogi (hukum hoga) firon ke logon ko sakt se sakt azaab mein jhonk do” (Surah Ghafir 40:46)

(سورة غافر) النَّارُ يُعْرَضُونَ عَلَيْهَا غُدُوًّا وَعَشِيًّا ۖ وَيَوْمَ تَقُومُ السَّاعَةُ أَدْخِلُوا آلَ فِرْعَوْنَ أَشَدَّ الْعَذَابِ

Allah kehta hai ke Firon ke logon ko azaab mein daala jaa raha hai subah aur shaam, halanke woh log mar chuke hain.

Ibn Katheer kehtey hain: Yeh aayah kareema ahl us-sunnah wal jamaat ke azaab-e-qabr ke mutalaq sabse aham daleel hai. Allah kehta hai “Aur ab toe Qabr mein dozakh ki aag hai ki woh log (har) subah aur shaam uske samne laa khade kiye jaatey hain…” [Tafseer Ibn Katheer, 4/82]

2) Hadeeth:

Aa’ishah (radiAllahu anha), Zaujat un nabi (ﷺ), farmati hain ke Allah ke Nabi (ﷺ) apne namaz (salah) mein yeh dua kiya kartey the, “Allahumma inni a’oodhu bika min ‘adhaab il-qabr, wa a’oodhu bika min fitnat il-maseeh il-dajjaal, wa a’oodhu bika min fitnat il-mahyaa wa fitnat il-mamaat, Allahumma ini a’oodhu bika min al-ma’tham wa’l-maghram (Ya Allah, main teri panaah mangta hoon Qabr ke azaab se, main teri panaah mangta hoon Dajjal ke fitne se, main teri panaah mangta hoon zindagi aur maut ke aazmaishon se, Ya Allah main teri panaah mangta hoon gunnah aur nuksaan se.)” [al-Bukhaari & Muslim]

وفي حديث عائشة زوج النبي صلى الله عليه وسلم أن رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يدعو في الصلاة : ” اللهم إني أعوذ بك من عذاب القبر وأعوذ بك من فتنة المسيح الدجال وأعوذ بك من فتنة المحيا وفتنة الممات اللهم إني أعوذ بك من المأثم والمغرم (رواه البخاري  ومسلم)

Is hadeeth mein aham point yeh hai ki Nabi (ﷺ) dua mein azaab-e-qabr se Allah ki panaah mangtey the. Yeh ek daleel hai jo azaab-e-qabr ki tazdeeq karti hai. Kisi ne azaab-e-qabr ka inkaar nahi kiya siwaye Mu’tazilah aur aise hi kuch gumrah firqe.

Wallahualam (aur Allah sabse behtar jaanne wala hai)