kya Islam mein hotel, restaurant aur bazaar mein khaana jayez hai?

Sawaal: Kya Islam mein hotels, restaurants aur bazaaron mein khaana jaaez hai? Mai ne ek hadith padhi jis mein kaha gaya hai ke “bazaar me khaana halkey pan ki nishaani hai “. Kya yeh sach hai? Kya iska matlab yeh hai ke bazaaroon, hotels aur restaurants mein khaana haraam hai?

Jawaab: Alhamdulillah.

Hotel, restaurant aur bazaar mein khaana khaane ki Islam me ijazat hai. Sahih daleelon ke mutaabiq aisa karne mein koi mumaaniat ya naa pasandeedgi nahi hai. Yeh ghalat fehmi, ke bazaar mein khaana naa pasandeedah hai, ek daeef hadith se paida hota hai jo logon mein bohot aam hai. Yeh hadith Sahih nahi hai.

Mashhoor hadith “Bazaar mein khaana halkey pan ki nishani hai” ek daeef hadith hai jo saabit nahi hai.

Is hadith ko Al-Tabarani ne “Al-kabeer” (7977) mein aur ibn-e-Asaker ne apni “Tareekh”(45/345) mein abu Umamah ki hadith se riwayat kiya hai, bohot daeef raawiyon ke saath. Qutaybah ne “Ta’weel Mukhtalif-ul-hadith” (p.392) mein aur Ibn Adi ne “Al-kamil” (2/276) mein aur Al-khatib ne At-taareekh (8/229) mein Abu Hurairah ki hadith se riwayat kiya hai, aur iski Isnaad bhi bohot kamzor hai.

Ibn-al-qayyim (Allah inpar reham farmaaye) ne farmaya:

Wo ahadith jo bazaar mein khaane se manaa karti hain wo sab baatil (jhooti) hain. Al-Aqili ne kaha: Is muamle me Rasulallah (ﷺ) se koi cheez sabit nahi hai. Khatm al-Manar al-Munif (p.130)

Al-dhahabi (Allah in par reham farmaaye) ne kaha : Iske mutaalliq riwayatein naqal hui hain aur in mein se koi bhi saabit nahi hai. [Siyaru ‘alaam in-Nublai (12/472) se Ikhtetaami Iqtebaas]. Refer: https://shamela.ws/book/22669/6378

Isi tarah ise Al-Iraqi ne “Takhreej Al-Ihya (p.452) mein, Al-Busairi ne “Ithaf Al-khayrah” (4/321) mein aur Al-Albani ne “al-daeefah (2465)” mein daeef qaraar diya hai.

 

Hotel, bazaar ya restaurant mein khaane ke hukum mein jaaez hone aur na pasandeedah hone mein farq hosakta hai.

Bazaar mein khaane ka sab ke liye ek hi hukum nahi hai. Yeh mukhtalif bazaaron aur unke halaat, mumaalik ki soorat-e-haal aur unki tahzeebon ke sath mukhtalif hoti hain. Yeh bhi har shakhs ke lehaaz se mukhtalif hota hai. Jo kuch kisi shakhs se log aam taur par qubool karte hain, hosakta hai ke dusre shakhs se woh qubool na karein aur wo uske shakhsiyat ke liye ruswai ka sabab bansakta hai.

Imam-ghazali (Allah in par reham farmaaye) ne farmaaya: bazaar ka khaana narmi aur baaz logon keliye asaani ka baaes hai, to is soorat me yeh theek hai. Aur yeh kuch logon ki gheerat ke liye maa’mool ke rawaiyye ke khilaf hai, isliye is soorat mein yeh na pasandeedah hojata hai. Aur yeh mumaalik, halat aur logon ke aadaton se mukhtalif hota hai….

Aam usool ke mutabiq jo shakhs hotels ya restaurants mein khaata hai is mein koi harj nahi hai, agar ye uske mulk ka riwaaj hai, ya is jaisi shakhsiyat ke liye qabil-e-qubool hai.

Jabke jo log is par amal nahi karte, ya wo log (ahl-ul-maroo’a) jo apne mulk ke rasm o riwaaj aur tehzeeb walon par sakhti se amal karte hain, is se naraz hote hain, to wo aisi jagahon mein dakhil nahi hona chahiye, siwaye zarurat ke , jaisa ke agar wo safar par hai, ya is jaise.

Dar haqeeqat zyada tar mumaalik mein, is amal ko ab gheeratmand logon ke amaal se mukhtalif nahi samjha jaata, jo riwayati aur tehzeebi usulon ki sakhti se pabandi karte hain, woh bhi is maamle mein abh dheel de chuke hain.

Khulaasa:

Agar kisi shakhs ko restaurants aur hotels mein dakhil hone ki zarurat ho toe zaruri hai ke wo haraam cheezon, aur fitnon se baa-khabar hon jo aisi jagahon pe aksar paaye jaatey hain.

Iske bawajood baaz ulmaa ne kaha hai ke aisi jagahon mein dakhil hona sharai hukum ki waja se nahi balke haraam cheezon aur fitne se bachne ke liye naa jayez hai.

Isliye bazaaron, hotels aur restaurants mein khane ki islam mein ijazat hai, magar sharth yeh hai ke usmein koi fitnah ya haraam shamil na ho jaise sharab ya khinzeer ka gosht pesh karna , mauseeqi, mardon aur aurton ka mel milap, waghairah.

Wallahu aalam( aur Allah behtar janta hai)

English mein jawab ke liye, yahan click karein: https://sunnahweb.com/eating-in-hotels-restaurants-marketplaces-permissible-in-islam